Sunday, August 5, 2018


Mere halaat fir mujhe bazaar me le aayi hai
Baitha hu yaha neelami par palkey jhukaye huye

Jyada kuch nahi hai bechne ke liye mere pass
kuch adhoore sapne hai muthi me bheeche huye

kuch anmool yaadey hai sunahre dino ki
thodi se dhoop hai thodi se chaaw hai

thodi si nadi hai thode parbat hai
thodi hi hawa hai thoda sa aakash hai

chand bunde hai bemausam barsaat ki
meethi se khushboo hai us mast raat ki

thodi sa swaad hai kashmir ki vaadiyon ka
thodi se thandi barf hai nepal ke paharon ki

thode sa sath hai dormitory ke doston ka
kuch unkahi kahaniyaan hai do din ke yaaron ki

ye sab jo mere liye ekdum anmool hai
par is bazaar me in sabka kya mool hai

is bazaar me kuch bik sakta hai to wo hai mere waqt
wo waqt jo hai apnoy ke liye 
wo waqt jo hai jameen aasman ke liye
wo waqt jo hai sapnoy ke liye

umeed hai lautunga is bazaar se 
kuch chandi ke chand sikoon ke sath
mere apnoy ko kuch khusiyan dene
ki taqat hogi mere hath

hoga saude ye ghate ka ya munafe ka 
ye to waqt hi batayega
kya is duniyadaari me beetegi jawani
mera budapa aa jayega


No comments: